Romantic Sad Shayari | Sad Shayari | Agar Bazm-e-Insaan mein Aurat naa hoti

Agar Bazm-e-Insaan mein Aurat naa hoti,khayaalo ki rangeen jannat naa hoti






Agar Bazm-e-Insaan mein Aurat naa hoti, 
khayaalo ki rangeen jannat naa hoti..!! 

Sitaaro ke Dilkash Fasaane naa hote, 
Bahaaro ki naazuk haqeeqat naa hoti..!!

Jabeeno pe Noor-e-Masarrat naa hota, 
Nigaaho mein Shaan-e-marrawwat naa hoti...!! 

Ghataao ki Aamad ko Saawan taraste, 
Fizaao mein Behki Baghaawat naa hoti..!! 

Faqeero ko Irfaan-e-Hasti naa milti, 
Ataa Zahido ko ibaadat naa hoti..!! 

Musaafir sadaa manzilo par bhatakte, 
Safeeno ko saahil ki qurbat naa hoti...!! 

Har ik phool ka rang pheeka sa hota, 
Naseem-e-bahaaraan mein nikhat naa hoti..!! 

Khudaayi ka Insaaf Khaamosh rehta, 
Sunaa hai kisi ki shifa'at naa hoti....!!!



Post a Comment

0 Comments